Dar to mujhe kiska hai ki main kuch nahi kehta
par hal ye afshan hai ki main kuch nahi kehta
naseh ye gila hai ki main kuch nahi kehta
tu kab meri sunata hai ki main kuch nahi kehta
kuch gair se honton mein kahe hai pe jo pucho
to waheen mukarata hai ki main kuch nahi kehta
naseh ko jo chahun to abhi thik bana dun
par khauf khuda ka hai ki main kuch nahi kehta
chupke se tere milane ka ghar valon mein tere
is vaste charcha hai ki main kuch nahi kehta
ae charagaro qabil-e-daraman nahi ye dard
varna mujhe sauda hai ki main kuch nahi kehta
har waqt hai dushnam har ek bat pe tana
phir is pe bhi kehta hai ki main kuch nahi kehta
“momin” ba-khuda sihar bayani ka jabhi tak
har ek ko dawa hai ki main kuch nahi kehta
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Momin Khan Momin
No comments:
Post a Comment