Sunday, June 21, 2015

Main nazar se pi raha hun ye sama badal na jaye – Anwar Mirzapuri



main nazar se pi raha hun ye sama badal na jaye
na jhukao tum nigahen kaheen raat dhal na jaye
mere ashk bhi hain is mein ye sharab ubal na jaye
mera jam chunevale tera hath jal na jaye
abhi raat kuch hai baqi na utha naqab saqi
tera rind girate girate kaheen phir sambhal na jaye
meri zindagi ke malik mere dil pe hath rakhna
tere aane ke khushi mein mera dam nikal na jaye
mujhe phunkane se pahale mera dil nikal lena
ye kisi ke hai amanat kaheen sath jal na jaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Anwar Mirzapuri



No comments:

Post a Comment