Monday, June 29, 2015

Dabi hui hai mere labon mein kaheen pe wo aah bhi jo ab tak – Akhtar ul Iman



Dabi hui hai mere labon mein kaheen pe wo aah bhi jo ab tak
na shola ban ke bhadak saki hai na ashk-e-besud ban ke nikali
ghuti hui hai nafas ke had mein jala diya jo jala saki hai
na shama ban kar pighal saki hai na aj tak dud ban ke nikali
diya hai beshak meri nazar ko wo paratau jo dard bakhshe
na mujh par galib hi aa saki hai na mera masjud ban ke nikali


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Akhtar ul Iman



No comments:

Post a Comment