Monday, March 9, 2015

Wo dil navaz hai nazar shanas nahi – Nasir Kazmi



Wo dil navaz hai nazar shanas nahi
mera ilaj mere charagar ke pas nahi
tadap rahe hain zaban par kai saval magar
mere liye koi shayan-e-iltamas nahi
tere ujalon mein bhi dil kanp kanp uthta hai
mere mizaj ko aasudagi bhi ras nahi
kabhi kabhi jo tere qurb mein guzri the
ab un dinon ka tasavvur bhi mere pas nahi
guzar rahe hain ajab marhalon se dida-o-dil
sahar ke aas to hai zindagi ke aas nahi
mujhe ye dar hai ki teri aarzoo na mit jaye
bahut dinon se tabiyat meri udas nahi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nasir Kazmi



No comments:

Post a Comment