Tuesday, March 31, 2015

Khuda hum ko aisi khudai na de – Bashir Badr



Khuda hum ko aisi khudai na de
ki apne siva kuch dikhai na de
khatavar samajhegi duniya tujhe
ab itni bhi zyada safai na de
hanso aj itna ki is shor mein
sada sisakiyon ke sunai na de
abhi to badan mein lahu hai bahut
kalam chin le raushanai na de
mujhe apni chadar se yun dhanp lo
zamin aasaman kuch dikhai na de
gulami ko barakat samajhane lagen
asiron ko aisi rihai na de
mujhe aisi jannat nahi chahe
jahan se madina dikhai na de
main ashkon se nam-e-muhammad likhun
qalam chin le roshni na de
abhi to badan mein lahu hai bahut
qalam chin le roshanai na de
khuda aise irfan ka naam hai
rahe samane aur dikhai na de


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr



No comments:

Post a Comment