hangama-e-gam se tang aakar izhar-e-musarrat kar baithe
mashahur thi apni zindadili danista shararat kar baithe
koshish to bahot ke hum ne magar paya na gam-e-hasti ka mafar
virani-e-dil jab had se badi ghabara ke mohabbat kar baithe
nazron se na karte pursish-e-gam khamosh hi rahana bahatar tha
divano ko tumane ched diya wALLAH qayamat kar baithe
har cheez nahi ek markaz par ek roz idhar ik roz udhar
nafrat se na dekho dushman ko shayad ye mohabbat kar baithe
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shakeel Badayuni
No comments:
Post a Comment