Monday, October 21, 2013

Sar se chadar badan se qaba le gai – Bashir Badr



Sar se chadar badan se qaba le gai
zindagi hum faqiron se kya le gai
meri mutthi mein sukhe huye phul hain
khushbuon ko udakar hawa le gai
main samundar ke sine mein chattan tha
raat ek mauj aayi baha le gai
hum jo kagaz the ashkon se bhige huye
kyon chiragon ke lau tak hawa le gai
chand ne raat mujhko jaga kar kaha
ek ladaki tumhara pata le gai
meri shoharat siyasat se mahafus hai
ye tavayaf bhi ismat bacha le gai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr



No comments:

Post a Comment