Monday, October 7, 2013

Kismet Ke Haathon Per Ik Adhoori Lakeer

Ab Ke Baar Phir Ye Saal Badla


Phir Waqt Ka Khad-O-Khaal Badla


Imtehaan-E-Zeest Ka Sawaal Badla


Aur Andaz Lamhon Ka Kamaal Badla



Lekin Mere Afsana-E-Hayat Ka Har Warq Abhi Adhoora Hai


Sab Samaan-E-Zeest Hai Thora Sa Kuch Bhi Nahi Puraa Hai



Haan Woh Adhoora Sa Ik Khawaab


Haan Woh Adhoora Sa Ik Izteraab


Haan Woh Adhoora Sa Ik Hisaad


Haan Woh Adhoora Sa Ik Jawaab



Haan Mere Afsana-E-Hayat Ka Har Warq Abhi Adhoora Hai


Sab Saman-E-Zeest Hai Thora Sa Kuch Bhi Nahi Puraa Hai



Dil Ke Aaiina-Khaney Ki Adhaori Tasveer


Taqdeer Ki Kitaab Ki Woh Adhoori Tehreer


Kisi Dil Ki Basti Mein Ik Adhoori Jaageer


Kismet Ke Haathon Per Ik Adhoori Lakeer



Haan Mere Afsana-E-Hayat Ka Har Warq Abhi Adhoora Hai


Sab Samaan-E-Zeest Hai Thora Sa Kuch Bhi Nahi Puraa Hai

No comments:

Post a Comment