Monday, October 14, 2013

Dekh lo khwab magar khwab ka charcha na karo – Kafeel Aazer



Dekh lo khwab magar khwab ka charcha na karo
log jal jayenge suraj ki tamanna na karo
waqt ka kya hai kisi pal bhi badal sakata hai
ho sake tum se to tum mujh pe bharosa na karo
kirchiyan tute hue aks ki chubh jayengi
aur kuch roz abhi aaina dekha na karo
ajanabi lagane lage khud tumhen apana hi vajud
apne din raat ko itna bhi akela na karo
khwab bachon ki khilaunon ki tarah hote hain
khwab dekha na karo khwab dikhaya na karo
be-khayali mein kabhi ungaliyan jal jayengi
rakh guzri hue lamhon ki kureda na karo
mom ki rishte hain garmi se pighal jayenge
dhup ki shahar mein “azer ye tamasha na karo




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Kafeel Aazer




No comments:

Post a Comment