Friday, October 4, 2013

Hath sine pe jo rakh do to qarar aa jaye – Aziz Kashmiri



hath sine pe jo rakh do to qarar aa jaye
dil ke ujade hue gulashan mein bahar aa jaye
dil to kehta hai ki aankhon mein chupa lun tujh ko
dar yahi hai ki muqaddar ko nakar aa jaye
dil ke zakhmon pe mere pyar ka maraham rakh do
beqarari mein mujhe kuch to qarar aa jaye
yun khuda ke liye chino na mere hosh-o-havas
aisi nazron se na dekho ki khumar aa jaye
chod ke tum bhi chale jaogi qismat ke tarah
bad azane to ajal hi ko na pyar aa jaye


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Aziz Kashmiri



No comments:

Post a Comment