Friday, August 23, 2013

Tund mein aur aise kamsin ke liye – Ameer Minai



tund mein aur aise kamsin ke liye
saqiya halki si la in ke liye
mujh se rukhsat ho mera ahad-e-shabab
ya khuda rakhna na us din ke liye
hai javani khud javani ka singar
sadagi gahana hai is sin ke liye
sab hasin hain zahidon ko napasand
ab koi hur aayegi in ke liye
vasl ka din aur itna mukhtasar
din gine jate the is din ke liye
sari duniya ke hain wo mere siva
main ne duniya chod di jin ke liye
lash par ibarat ye kahati hai ‘ameer’
aaye the duniya mein is din ke liye


Poet of the Poem/Ghazal or Nazam: Ameer Minai



No comments:

Post a Comment