meri zindagi pe na muskara mujhe zindagi ka alam nahi
jise tere gham se ho vasta wo khizan bahar se kam nahi
mera kufr hasil-e-zud hai mera zud hasil-e-kufr hai
meri bandagi wo hai bandagi jo rahin-e-dair-o-haram nahi
mujhe ras aaye khuda kare yahi ishtibah ke saaten
unhen aitabar-e-vafa to hai mujhe aitabar-e-sitam nahi
wohi karavan wohi raste wohi zindagi wohi marahale
magar apane-apane muqam par kabhi tum nahi kabhi hum nahi
na wo shan-e-jabr-e-shabab hai na wo rang-e-qahar-e-itab hai
dil-e-beqarar pe in dinon hai sitam yahi ki sitam nahi
na fana meri na baqa meri mujhe ae ‘shakeel’ na dhundiye
main kisi ka husn-e-khayal hun mera kuch vujud-o-adam nahi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shakeel Badayuni
No comments:
Post a Comment