Saturday, August 24, 2013

Phir savan rut ke pavan chali tum yaad aaye – Nasir Kazmi



Phir savan rut ke pavan chali tum yaad aaye
phir patton ke pazeb baji tum yaad aaye
phir kunjen bolin ghas ke hare samandar mein
rut aayi peele phoolon ke tum yaad aaye
phir kaga bola ghar ke sune aangan mein
phir amrat ras ke bund padi tum yaad aaye
pahale to main chikh ke roya aur phir hansane laga
badal garja bijli chamaki tum yaad aaye
din bhar to main duniya ke dhandhon mein khoya raha
jab deewaron se dhup dhali tum yaad aaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nasir Kazmi



No comments:

Post a Comment