Friday, March 1, 2013

Zamana yaad tera ae dil-e-nakam aata hai – Arzoo Lucknowi



Zamana yaad tera ae dil-e-nakam aata hai
tapak padate hain aansu jab wafa ka naam aata hai


wafa tum se karenge dukh sahenge naz uthayenge
jise aata hai dil dena use har kam aata hai
akele karavaten hain raat bhar bistar pe aur hum hain
kahan pehlu ko khali dekh kar aaram aata hai
hasinon mein basar kar di javani ‘arzoo’ hum ne
lagana dil ka sikhe hain yahi ik kam aata hai



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Arzoo Lucknowi



No comments:

Post a Comment