jab bhi do aansu nikal kar rah gaye
dard ke unavan badal kar rah gaye
kitni fariyaden labon par ruk gain
kitne ashk aahon mein dhal kar rah gaye
rukh badal jata meri taqadir ka
aap hi tevar badal kar rah gaye
khul ke rone ke tamanna thi hamen
ek do aansu nikal kar rah gaye
zindagi bhar sath dena tha jinhen
do qadam hamrah chal kar rah gaye
tere andaz-e-tabassum ka fusun
hadise pehlu badal kar rah gaye
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
No comments:
Post a Comment