Saturday, March 2, 2013

Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi



Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Sabhi Kush Hai Khudai Bhi Khuda Bhi
Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Larka Hai Khuda Ke Ghar Ka
Larki Hai Nabi Ke Ghar Ki
Woh Arzo Sama Ka Malik
Yeh Malka Behro Barki (Zami Rakhsa) Hai Rakhsa Asma Bhi


Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Hyder Hai Kulle Ima
Aur Kulle Ismat Zehra
Is Sar Pe Wafa Ka Sehra
Is Sar Pe Haya Ka Sehra (Woh Shezaada) Hai Aur Yeh Shahzaadi


Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Kheti Ne Bichaya Sabza
Suraj Ne Ujale Bante
Khud Dashte Khuda Ne Shaab Ke
Aanchal Pe Sitaare Taanke (Huwi Rangi) Jo Thi Tasviir Saadi


Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Bola Yeh Khuda Har Jaanab
Rehmat Ke Ghata Barse Gi
Jo Bogs Se Banjar Hoo Gi
Bas Woh Hi Zami Tarse Ge (Utho Jibrieel) Yeh Kardo Manadi


Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Sabhi Kush Hai Khudai Bhi Khuda Bhi
Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Dunya Ne Sawara Usko
Andaaz Naye Apnaye
Tahzeeb Ne Zaiwar Badle
Marboot Naye Silwaye (Mehek Uthi) Nasab Ki Paak Waadi


Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Dulha Ke Roop Mei Pyaare
Ali Ibne Abi Talib Hai
Tha Baap Bhi Sab Se Ghalib
Ye Bhi Kulle Ghalib Hai (Ye Damade) Nabi He Or Wo Samdhi


Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Baraat Chali Haider Ki
Rehmat Ke Saaye Saaye
Baraat Ke Aage Aage
Quran Qaside Gaaye (Nabi Saare) Chale Bankar Baraati


Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Sabhi Kush Hai Khudai Bhi Khuda Bhi
Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Tohfe Mai Mile Mehk Aise
Inhe Kausar Or Jannat Ko
Ye Saara Namak Or Paani
Haq Mehr Mila Zehra Ko (Salaami Mei) Mili Marzi Khuda Ki


Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Qudrat Ki Taraf Se Inko Abhi Tohfe Or Milenge
Kal Inke Haseen Angan Mei
Do Asli Phool Khilenge (Haseen Shajare) Jinhe Denge Salaami


Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Wohh Abh Chahe Koi Bharke
Ab Chahe Koi Tarpe
Ab Meri Bhala Se Chahe
Marjaye Koi Jal Jal Ke (Khushi Ki Baat) Hi Mei Ne Sunadi


Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Keise Ho Bayan Woh Manzar
Jab Khatm Huwi Sab Rasme
Konain Ki Har Sheh Gohar Kehti Thi
Kha Kar Qasme (Mubarak Hai) Mubarak Hai Ye Shaadi


Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Sabhi Kush Hai Khudai Bhi Khuda Bhi
Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi



No comments:

Post a Comment