Saturday, November 3, 2012

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker



Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Har shaam Mili Hai Tera Chehra Banker


Chand Nikla Hai Teri Aankh K Aansoo Ki Tarah Phool
Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker


Meri Jaagi Huey Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Aankhon Main Jo Sapna Banker


Dil K Kaghaz Par Utarta Hai Tu Sheron Ki Tarhan
Meray Hontoon Pay Machalta Hai Tu Naghma Banker


Raat Bhi Aye Tu Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rooh Main Phail Giya Hai Woh Ujala Banker


Mera Kia Haal Hai Yeh A K Kabhi Dekh Tu Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hua Wada Banker


Dhoop Main Khoo Gaya Woh Haath Chura Kar
Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker


Kabhi Aanso Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker



No comments:

Post a Comment