aankh padati hai kaheen paon kaheen padta hai
sab ke hai un ko khabar apani khabar kuch bhi nahi
shama hai gul bhi hai bul-bul bhihai paravana bhi
raat ke raat ye sab kuch hai sahar kuch bhi nahi
hashr ke dhum hai sab kahate hain yun hai yun hai
fitana hai ek teri thokar ka magar kuch bhi nahi
nesti ke hai mujhe kucha-e-hasti mein talash
sair karta hun udhar ke ke jidhar kuch bhi nahi
ek aansu bhi asar jab na kare ae “tashna”
fayeda rone se ae dida-e-tar kuch bhi nahi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Alam Tab ‘Tashna’
No comments:
Post a Comment