Wednesday, November 28, 2012

Gum shayari in hindi



Laut jati hai  duniya gam hamara dekhkar,
Jaise laut jaati hai lehere kinara dekhkar
Tu kandha na dena mere janaze ko,
Kahi fir se zinda na ho jau tere sahara dekhkar


Khushi agar hum se daaman bachati hai to bachaye
Humein to gum hi hain raas aaye
Mohabbat ka yeh ajab dastoor dekha
Ussi ki jeet hai……jo haar jaaye


Kisi ko mohabbat ki sachchai maar dalegi,
Kisi ko mohabbat ki gaherai maar dalegi,
Karke mohabbat koi nahi bachega,
Jo bach gayaa use tanhaai maar dalegi…
`
Mohabbat ka kya hai kabhi bhi ho jati hai,
Har kisi ki aankho me bas nami chod jati hai,
humne ki mohabbat to haal hua aisa,
taaro ke beech ek shaam guzarta ho jaisa.
`
Zindagi ka matlab aapne bata diya,
Har gam ka matlab aapne samjha diya.
Aap to Ro-kar bhi apne gamon ko halka na kar sake,
Humne Khushi ki aaadh mein apne ghamon ko chupa liya.
`
Gila aap se nahi koi,
Gila hum apni majbooriyon se karte hain.
Aap aaj hamare karib naa sahi…..
Mohabbat to hum aapki dooriyon se bhi karte hain.
`
Har Kadam pe imtihan leti hai zindagi,
Har waqt pe naye sadme deti hai zindagi,
Hum zindagi se shikwa kaise kare .
Jab aap jaise dost deti hai zindagi
`
Zindagi mein naye log hardum milenge,
Kaheen jyada to kaheen kam milenge,
Aitbaar zara soch kar karna,
Mumkin nahin har jagah tumhein ‘HUM’ milenge
`
Humse door jaoge kaise,
dil se hume bhulaoge kaise,
hum vo khushboo hain, jo saason me baste hain,
khud ki saason ko rok paoge kaise. …….
`
Log samajthe hain keh humne tumhe bhula rakha hain,
Ye nahin jante ke kahin dil mein chupa rakha hain
Dekh na le koi meri aankho mein tasvir tumhari,
Humne apni palko ko is qadar jhuka rakha hain .
`
Phir chupke se yaad aa gaya koi,
meri aakhon ko phir rulaa gaya koi,
kaise uska shukria aada Karen,
mujh naachiz ko “shayar ” bana gaya koi.
`
Ajmaish pyar jaroori hoti hai
Na mil pana kisi ki majburi hoti hai
yaad apko door se kar to sakten hai
lakin dil ki hasrat to mulkat se hi puri hoti hai
`
Kabhi tum bhi humse baat kar liya karo
milne ki fariyad kar liya karo
ek hum hai jo har baar shuruat karte hai
kabhi tum bhi hamse pehle hamein yaad kar liya karo!!!!!!!!
`
Duriyon se fark padta nahi,
Baat to dilon ki najdikiyon se hoti hai
Dosti to kuch khaas aap jaiso se hai warna,
Mulakat na jane kitno se hoti hai.
`
Banke ajnabi mile the zindagi ke safar mein kahin,
in yadon ke lamho ko kabhi bhulayenge nahi,
agar yaad rakhna fitrat hai aapki,
to bhool jane ki aadat hamein bhi nahi!!!!
`
Apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho
mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho
Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa
pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho
`
Ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho
dil bhar aataa hai tou phir dil ko dukhaate kyon ho
In se vaabastaa hai jab mera muqaddar phir tum
mere shaanon se ye zulf hatate kyon ho
`
Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho
milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho
`
Bagair Jaane Pahchaane ikraar na kijiye,
Mushukura kar dil ko bekaraar naa kijiye,
Phool bhi de jate Zakham gehra kabhi kabhi,
Har phool par yun aeitbaar na kijiye.
`
Mangi thi dua ashiyane ki,
Chal padi aandiyaan jamane ki,
Mere gum koi naa samjh saka,
Kyunki meri aadat thi muskarane ki
`
Na koi kisi se door hota hai,
Na koi kisi ke kareeb hota hai,
Pyar khud chal kar aata hai,
Jab koi kisi ka naseeb hota hai ..
`
Shararat na hoti, shikayat na hoti.
naino mai kisi ke nazakat na hoti,
na hoti bekrari, na hote hum tanha,
agar jahan me kambhakat ye mohabbat na hoti…
`
Unki tasveero ko seene se laga lete hai
is tarah judaai ka gam mita lete hai,
kisi tarah kabhi jikar ho jaye unka,
has kar bheegi palke jhuka lete hain…


Share with us more Gum shayari in hindi .in comments section below.



No comments:

Post a Comment