Thursday, June 14, 2012

tum se berangi-e-hasti ka gila karana tha – Akhtar ul Iman



tum se berangi-e-hasti ka gila karana tha
dil pe anbar hai khungashta tamannaon ka
aj tute hue taron ka khayal aaya hai
ek mela hai pareshan si ummidon ka
chand pazmurda baharon ka khayal aaya hai
panv thak thak ke reh jate hain mayusi mein
purmahan rahguzaron ka khayal aaya hai
saqi-o-bada nahi jam-o-lab-e-ju bhi nahi
tum se kahana tha ki ab aankh mein aansu bhi nahi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Akhtar ul Iman



No comments:

Post a Comment