Saturday, June 16, 2012

Mujh ko shikast-e-dil ka maza yaad aa gaya – Khumar Barabankvi



mujh ko shikast-e-dil ka maza yaad aa gaya
tum kyon udas ho kya yaad aa gaya
kahane ko zindagi thi bahut mukhtasar magar
kuch yun basar hui ke khuda yaad aa gaya
waiz salam le ke chala maikade ko main
firdaus-e-gumshuda ka pata yaad aa gaya
barase bagair hi jo ghata ghir ke khul gai
ek bevafa ka ahd-e-vafa yaad aa gaya
mangenge ab dua ke use bhool jayen hum
lekin jo wo bevaqt-e-dua yaad aa gaya
hairat hai tum ko dekh ke masjid mein ae ‘khumar’
kya baat ho gai jo khuda yaad aa gaya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Khumar Barabankvi



No comments:

Post a Comment