Tuesday, June 12, 2012

Jhonka idhar na aaye nasim-e-bahar ka – Ameer Minai



jhonka idhar na aaye nasim-e-bahar ka
nazuk bahut hai phul charag-e-mazar ka
phir baithe baithe vada-e-vasl us ne kar liya
phir uth khada hua wohi rog intazar ka
shakhon se barg-e-gul nahi jhadate hain bag mein
zevar utar raha hai urus-e-bahar ka
har gul se lalazar mein ye puchata hun main
tu hi pata batade dil-e-dagdar ka
is pyar se fishar diya gor-e-tang ne
yaad aa gaya maza mujhe aagosh-e-yar ka
hilati nahi hawa se chaman mein ye daliyan
muh chumate hain phul urus-e-bahar ka
uthta hai naza mein wo sarahane se ae ‘ameer’
mitata hai aasara dil-e-ummidvar ka


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ameer Minai



No comments:

Post a Comment