Friday, November 9, 2007

Khubsurti par shayari



Her Kisi Ke Chehry Mai


Ik Zia Si Hoti Hai


Rukh Ke Aik Hisey Mai


Husan Ke Eilaqy Mai


Aik Udasi Hoti Hai


Us Ko Mai Ne Dekha Tha


Germ Khu Maheenoon Mai


Ik Khushi Ki Mehfil Mai


Sheher Ke Makeenoon Mai


Ik Taraf Kharey Tanha


Jis Taraf Ko Rasty Thy


Jin Ke Sath Galieyan Thien


Jin Mai Log Basty Thy


Be Kashish Makanoo Mai


Jaisey Chand Ratien Thien


Us Ke Sard Chahrey Mai


Khushgawar Aankhien Thien



Har chamakti cheez sona nahi hoti
Jara parakh raha hoon ki khara hai ki nahi
Agar parakhne ke baad takkdeer mein hogi
To woh hume miljayegi agar hogi mere liye sahi



Aapke deedar ko nikal aaye hai taare
Aapki khushboo se chha gayi hai bahare
Aapke saath dikhte hai kuch aise nazare
Ki chhup chhup ke chand bhi bas aaphi ko nihare


Share with us more Khubsurti par shayari .in comments section below.



No comments:

Post a Comment