Monday, November 26, 2007

Kuch aise ghao bhi hote hain



kuch aise ghao bhi hote hain
jinhen zakhmi aap nahi dhote
bin roye huye aansuon ke tarah
sine mein chupa ke rakhte hain
aur sari umr nahi rote
ninden bhi muhaiya hoti hain
sapane bhi dur nahi hote
q phir bhi jagate rehte hain
q sari raat nahi sote
ab kis se kahen ae jan-e-vafa
ye ahal-e-vafa kis aag mein jalate rehte hain
q bujh ke rakh nahi hote


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Amjad Islam Amjad



No comments:

Post a Comment