Thursday, November 15, 2007

Angadai par angadai leti hai raat judai ki – Qateel Shifai



angadai par angadai leti hai raat judai ki
tum kya samajho tum kya jano bat meri tanahai ki
kon siyahi ghol raha tha waqt ki behte dariya mein
main ne aankh jhuki dekhi hai aj kisi harajai ki
vasl ki raat na jane q israr tha unko jane par
waqt se pahale dub gae taron ne badi danai ki
udate udate aas ka panchi dur ufaq mein dub gaya
rote rote baith gai aavaz kisi saudai ki




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Qateel Shifai



No comments:

Post a Comment