Jaane Ye Kaun Sa Mausam Hai Na Sardiyon Ki Dhoop Hai Na Din Yahan Par Kam Hai Na Thand Ka Koi Bhi Roop Hai Na Mitti Ki Khushbu Hai Na Bheege Yauvan Mein Hulchul Na Baadalon Mein Guftagu Hai Na Chai Pakodi Ka Hi Koi Pal Dhoop Bhi Chilchilaati Nahi Na Chaandni Ka Koi Aalam
Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay
Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barsay
Minatien Kon Kary Aik Gharondy Ke Lye
Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barsay
Barish Ka Ye Mousam Koch Yaad Dilata Hai
Kisi Kay Saath Honay Ka Ehsaas Dilata Hai
Fiza Bhi Sard Hai Yaadain Bhi Taaza Hai
Ye Mousam Kisi Ka Pyaar Dil May Jagata Hai
Bheegi Hoye Raatain Khamosh Si Baatain
Aisay Main Koch Kaho Tu Her Lafz Madhem Ho Jata Hai
Barsat Ki Hain Bondain, Bondon May Hai Khushbo
Ye Lumha Tu Dil Ka Ehsaas Chuu Jata Hai
Aisay Main Tum Bhi Keh Do Dil Ki Baat
Ye Mousam Tu Pal Bhar Main Beet Jata Hai
Share with us more Mausam shayari in comments section below.
No comments:
Post a Comment