Ek brahmann ne kaha hai ke ye sal acha hai
zulm ke raat bahut jald talegi ab to
aag chulhon mein har ik roz jalegi ab to
bhuk ke mare koi bacha nahi royega
chain ke neend har ik shakhs yahan soyega
aandhi nafarat ke chalegi na kaheen ab ke baras
pyar ke fasal ugaegi zamin ab ke baras
hai yahin ab na koi shor-sharaba hoga
zulm hoga na kaheen khun-kharaba hoga
os aur dhup ke sadamen na sahega koi
ab mere desh mein beghar na rahega koi
naye vadon ka jo dala hai wo jal acha hai
rahanumaon ne kaha hai ke ye sal acha hai
dil ke khush rakhane ko ghalib ye khayal acha hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sabir Dutt
No comments:
Post a Comment