Friday, January 15, 2016

dhundhane us ko chala hun jise pa bhi na sakun -Ameer Minai



us ke hasrat hai jise dil se mita bhi na sakun
dhundhane us ko chala hun jise pa bhi na sakun


dal kar khak mere khoon pe qatil ne kaha
kuch yeh mehandi nahi meri ke mita bhi na sakun
zabt kambakht ne aur aa ke gala ghonta hai
ke use hal sunaun to suna bhi na sakun


us ke pehlu mein jo leja ke sula dun dil ko
neend aisi use aaye ke jaga bhi na sakun


naqsh-e-pa dekh to lun lakh karunga sajade
sar mera arsh nahi hai ki jhuka bhi na sakun
bevafa likhate hain wo apni kalam se mujh ko
ye wo qismat ka likha hai jo mita bhi na sakun
is tarah soye hain sar rakh ke mere zanon par
apni soi hui qismat ko jaga bhi na sakun


Poet of  the Poems / Ghazal or Nazam :Ameer Minai



No comments:

Post a Comment