Sunday, October 18, 2015

Zahan pe chai hui gham ke ghata ho jaise – Krishan Adeeb



Zahan pe chai hui gham ke ghata ho jaise
dard mein dubi hui sari fiza ho jaise
ab dil-e-zar kisi taur bahalata hi nahi
is ka paiman-e-vafa toot gaya ho jaise


pursish-e-gam ke bhi rasm utha di us ne
hal-e-dil sun ke wo sharminda hua ho jaise
ab to har sans ke aamad pe guman hota hai
zindagi ek fasurda sa diya ho jaise



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Krishan Adeeb



No comments:

Post a Comment