Ussi Tarah Se Her Eik Zakhm Khushnuma Dekhay
Woh Aaye Tou Mujhe Abb Bhi Hara Bhara Dekhay
Guzar Gaye Hein Bohot Din Rafaqat E Shab Mein
Eik Umr Ho Gai Chehra Woh Chaand Sa Dekhay
Mere Sukoot Se Jis Ko Gilay Rahe Kya Kya
Bicharte Waqt Unn Ankhon Ka Bolna Dekhay
Tere Siwa Bhi Kai Rang Khushnuma Thay Magar
Jo Tujhko Dekh Chuka Ho Woh Aur Kya Dekhay
Bus Eik Rait Ka Zarra Bacha Tha Aankhon Mein
Abhi Talak Jo Musafir Ka Raasta Dekhay
Ussi Se Poochay Koi Dasht Ki Rifaqat Jo
Jub Aankh Kholay, Paharon Ka Silsila Dekhay
Tujhe Aziz Tha Aur Mein Ne Uss Ko Jeet Lya
Meri Taraf Bhi Tou Eik Pall Tera Khuda Dekhay
No comments:
Post a Comment