Sahil per wo dekh rahi thi
Mit’ti banti rait ki lehar’ein
Rukti, chalti, bal khati aur thaki thaki si
Aur samandar aj bhi bilkul wesa hi tha
Heran heran thehra thehra
Tanhai key karb mein doba
Uljha uljha, piyasa piyasa
Shayad isey yaad aai phir sey
Ik kahani,
Jis mei ik choti si gurriya
Aik jazeray per rehti thi
Char’on aur sanata sa
Gurriya khod sey baat’ein kerti
Aksar in baat’on per hasti, aksar rooti
Kabhi kabhi wo thak si jati
Ik din soraj jaga to herat sey dekha
Gurriya ka chota sa ghironda
Dour dour tak kahi’n nahi tha
Mit’ti banti rait ki lehar’ein aur samandar
Souch rahi thi
Sagar ziyada gehra hai ya….?
Yak dam hoq si uthi man mein
Aur wo boli
Dil ka cheyt bohat gehra hai
Monday, October 5, 2015
Sahil Per Wo Dekh Rahi Thi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment