Saturday, September 5, 2015

Main Shohar Number 420



Aap Ne Veer-Zara Film Dekhi Hai? Film Ke End Mein Jab Veer (Shahrukh Khan) Buddha Ho Jata Hai, To Aik Khoobsurat Poem Mein Apna Haal Sunata Hai “Main Qaidi Number 786, Jail Ki Salakhon Se Bahar Deikhta Hoon”. Akhir Mein Uski Zara Ke Sath Shadi Ho Jati Hai Aur Film Wahin Pe Khatam Hoti Hai. Leikin Is Ke Baad Veer (Shahrukh Khan) Kiya Kehta Hai? Wo Hazir Khidmet Hey……


Main Shohar Number 420
Khirki Se Bahar Deikhta Hoon
Larkiyon Se Bhari College Ki Bus,
Jab Unhain Chor K Jaati Hai
Aik Larki Jo Paros Mein Rehti Hai,
Mere Saamne Aati Hai
Khud Ko Samiya Kehti Hai
Mujhe Uncle Bulati Hai
Aisi Pariyon Ko Deikh Kar,
Bahar Jaane Ko Jee Karta Hai
Khirki Se Neeche Kood Kar,
Hath Milane Ko Jee Karta Hai
Apni Biwi Ko Chor Kar,
Bhaag Jaane Ko Jee Karta Hai
Wo Kehte Hain Uska Bhai Tandrust Hai Bohat
Phir Bhi Maar Khane Ko Jee Karta Hai
Wo Kehte Hain Ab Kuch Hath Nahin Aaye Ga
Phir Bhi Kuch Paane Ko Jee Karta Hai



No comments:

Post a Comment