Saturday, September 12, 2015

Hairat se tak raha hai jahan-e-vafa mujhe – Sagar Nizami



hairat se tak raha hai jahan-e-vafa mujhe
tum ne bana diya hai mohabbat mein kya mujhe
har manzil-e-hayat se gum kar gaya mujhe
mud mud ke rah mein wo tera dekhana mujhe
kaif-e-khudi ne mauj ko kashti bana diya
hosh-e-khuda hai ab na gam-e-nakhuda mujhe
saqi bane huye hain wo ‘sagar’ shab-e-visal
is waqt koi meri kasam dekhata mujhe


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sagar Nizami




No comments:

Post a Comment