Sunday, September 13, 2015

Jalta nahi aur jal raha hun – Khalil ur Rahman Azmi



jalta nahi aur jal raha hun
kis aag mein main pighal raha hun
mafaluj hain hath-panv mere
phir zahan mein q chal raha hun


rai ka bana ke ek parvat
ab is pe khud hi phisal raha hun
kis hath se hath main milaun
ab apne hi hath mal raha hun
kyon aaina bar bar dekhun
main aj nahi jo kal raha hun
ab kon sa dar raha hai baqi
us dar se kyon main nikal raha hun
qadmon ke tale to kuch nahi hai
kis cheez ko main kuchal raha hun
ab koi nahi raha sahara
main aj se phir sambhal raha hun
ye barf hatao mere sar se
main aj kuch aur jal raha hun


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Khalil ur Rahman Azmi



No comments:

Post a Comment