Friday, May 22, 2015

Us bazm mein mujhe nahi banati haya kiye -Mirza Ghalib



us bazm mein mujhe nahi banati haya kiye
baitha raha agarche ishare hua kiye
dil hi to hai siyasat-e-darban se dar gaya
main aur jaun dar se tere bin sada kiye
rakhta phirun hun khirqa-o-sajjada rahan-e-mai
muddat hui hai davat-e-ab-o-hava kiye
besarfa hi guzarati hai, ho garche umr-e-khizr
hazarat bhi kal kahenge ki hum kya kiya kiye
maqadur ho to khak se puchun ke ae laim
tune wo ganj haye giranmaya kya kiye
kis roz tohamaten na tarasha kiye adu
kis din hamare sar pe na aare chala kiye
sohabat mein gair ke na padi ho kaheen ye khu
dene laga hai bose bagair iltija kiye
zid ke hai aur baat magar khu buri nahi
bhule se us ne saikadon vade-vafa kiye
‘ghalib’ tumhin kaho ki milega javab kya
mana ki tum kaha kiye aur wo suna kiye


Poet of  the Poems / Ghazal or Nazam :Mirza Ghalib



No comments:

Post a Comment