Iss Apnii Kiran Ko Aatii Huii Subhon Ke Hawale Kerna Hai
Kaanton Se Ulajh Ker Jiina Hai Phuulon Se Lipat Ker Marna Hai
Shayad Wo Zamana Laut Aaye , Shayad Wo Palat Ker Dekh Bhii Lain
Inn Ujrri Ujrri Nazron Main Phir Koii Fasana Bharna Hai
Ye Soz-E-Daruun Ye Ashk-E-Rawaan Ye Kaawish-E-Hastii Kya Kahiiye
Marte Hain Ke Kuchh Din Jii Lain Ham, Jiite Hain Ke Aakhir Marna Hai
Ik Shahar-E-Wafaa Ke Band Dareeche Aankhain Meeche Sochte Hain
Kab Qaafla-Haaye Khandaa-E-Gul Ko Inn Raahon Se Guzarna Hai
Raston Pe Aandhere Phail Gaye , Ik Manzil-E-Gham Tak Shaam Huii
Aey Hamsafro ! Kyaa Faisla Hai Ab Chalna Hai Ke Thaherna Hai ?
Her Haal Main Ik Shoreedgii , Afsoon-E-Tamana Baaqii Hai
Khawabon Ke Bhanwar Main Beh Ker Bhii Khawabon Ke Ghaatt Utarna Hai
No comments:
Post a Comment