Wednesday, May 13, 2015

Kon kehta hai tujhe main ne bhula rakha hai – Jan Nisar Akhtar



Kon kehta hai tujhe main ne bhula rakha hai
teri yadon ko kaleje se laga rakha hai
lab pe aahen bhi nahi aankh mein aansu bhi nahi
dil ne har raz muhabbat ka chupa rakha hai
tune jo dil ke andhere mein jalaya tha kabhi
wo diya aj bhi sine mein jala rakha hai
dekh ja aake mahakate huye zakhmon ke bahar
main ne ab tak tere gulashan ko saja rakha hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jan Nisar Akhtar



No comments:

Post a Comment