Kai marhale aur sar karne hain
abhi to bahut se safar karne hain
badi aur neki yaqin aur shak
hain jitne bhi aib-o-hunar karne hain
hatheli pe rakhte hain apna kafan
jinhen apna jivan amar karne hain
sitam hai ki duniya ke kitne hi kam
zaruri nahi hain magar karne hain
karoge kabhi tark bhi tak-jhank
ki ye silsile umr bhar karne hain
bahut sakht mausam hai lekin ‘shaoor’
kisi taur ye din basar karne hain
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Anwar Shaoor
No comments:
Post a Comment