Tuesday, April 7, 2015

Bal be garur-e-husn, zamin par na rakhe paon – Ibrahim Zauq



lete hi dil jo aashiq-e-dil-soz ka chale
tum aag lene aaye the kya aaye kya chale


Bal be garur-e-husn, zamin par na rakhe paon
maninde aaftab wo be naqashe pa chale
kya le chale gali se teri hum ke jun nasim
aaye the sar pe khak udane, uda chale
aaluda chashm mein na hui surma se nigah
dekha, jahan se saf hi ahale safa chale


sath apne le ke tausane umare ravan ko aah
hum is saraye dahar mein kya aaye kya chale


fikare qanayat unko mayassar hui kahan
duniya se dil mein le ke hirs-o-hava chale


ae ‘zauq’ hai gazab nigahe yar, alhafeez!
wo kya bache ke jis pe ye tir-e-qaza chale


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ibrahim Zauq



No comments:

Post a Comment