Shikave ke naam se bemehar khafa hota hai
ye bhi mat kah ke jo kahiye to gila hota hai
pur hun main shikave se yun rag se jaise baja
ik zara chediye phir dekhiye kya hota hai
go samajhata nahi par husn-talafi dekho
shikava-e-jaur se sar-garm-e-jafa hota hai
ishq ke reh mein hai charkh-e-makaukab ke wo chal
sust-rau jaise koi aabalapa hota hai
q na thaharen hadaf-e-navak-e-bedad ke hum
aap utha late hain gar tir khata hota hai
khub tha, pahale se hote jo hum apne bad-khvah
ke bhala chahate han aur bura hota hai
nala jata tha pare arsh se mera aur ab
lab tak aata hai, jo aisa hi rasa hota hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib
No comments:
Post a Comment