aag hai pani hai mitti hai hava hai mujh mein
aur phir manana padata hai ke khuda hai mujh mein
ab to le-de ke vahi shakhs bachcha hai mujh mein
mujh ko mujh se juda kar ke jo chupa hai mujh mein
mera ye hal ubharati hui ?????? jaise
vo badi der se kuch dhundh raha hai mujh mein
jitne mausam hain sab jaise kaheen mil jayen
in dinon kaise bataun jo faza hai mujh mein
aaina ye to batata hai ke main kya hun lekin
aaina is pe hai khamosh ke kya hai mujh mein
ab to bas jan hi dene ke hai bari ae “noor”
main kahan tak karun sabit ke vafa hai mujh mein
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Krishan Bihari Noor
No comments:
Post a Comment