Thursday, February 26, 2015

Hairaton ke silsile soz-e-nihan tak aa gaye – Qabil Ajmeri



hairaton ke silsile soz-e-nihan tak aa gaye
hum nazar tak chahate the tum to jan tak aa gaye
namuradi apni qismat gumrahi apana nasib
karavan ke khair ho hum karavan tak aa gaye
un ke palkon par sitare apne honton pe hansi
qissa-e-gam kahate kahate hum kahan tak aa gaye
apni apni justaju hai apana apana shauq hai
tum hansi tak bhi na pahunche hum fugan tak aa gaye
zulf mein khushbu na thi ya rang aariz mein na tha
aap kis ke aarzoo mein gulistan tak aa gaye
rafta rafta rang laya jazba-e-khamoshi-e-ishq
wo tagaful karte karte imtihan tak aa gaye
khud tumhen chak-e-gireban ka shaur aa jayega
tum vahan tak aa to jao hum jahan tak aa gaye
aj ‘qabil’ maikade mein inqalab aane ko hai
ahal-e-dil andesha-e-sud-o-ziyan tak aa gaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qabil Ajmeri



No comments:

Post a Comment