Sunday, December 7, 2014

Ye aarzoo hai ki jab bhi gale lagaun use – Himayat Ali Shayar



Ye aarzoo hai ki jab bhi gale lagaun use
hisar-e-zat se bahar nikal laun use
wo jal raha tha kadi dhup ke tamazat mein
mila jo ab to odha dunga apni chanv use
ye ishq bhi hai ajab imtihan-e-ahad-e-vafa
wo aazamaye mujhe aur main aazamaun use
wo shahar shahar chiragan sahi magar ek din
havayen yaad dilayengi apna ganv use
wo apne khwab mein shayad mujhi ko dekhata ho
main tashnalab sahi sote mein kya jagaun use


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Himayat Ali Shayar



No comments:

Post a Comment