Kabhi Yaad Aao To Iss Terha
Ke Lahoo Ki Saari Tamazatein
Tumhein Dhoop Dhoop Samait Lein
Tumhein Rung Rung Nikhaar Dein
Tumhein Harf Harf Mein Soch Dein
Ke Deyaar-E Hijer Ki Teergi
Ko Palak Ki Nok Se Noch Lein..
Kabhi Yaad Aao To Iss Terha !!!
Ke Dil-O-Nazar Mein Sama Sako
Kabhi Khul Sako Shab-E-Visel Mein
Kabhi Khoon-E-Dil Mein Sanwar Sako
Kabhi Had Se Jab Yeh Junoon Berhay
To Hawas Bun Ke Bikher Sako
Sir-E-Rahguzar Jo Milo Kabhi
Na Teher Sako Na Guzer Sako
Mera Dard Phir Se Ghazal Banay
Kabhi Gungunaao To Is Terha
Meray Zakhm Phir Se Gulaab Hon
Kabhi Muskuraao To Is Terha
Meri Dharkanein Bhi Laraz Uthein
Kabhi **Tum** Khaao To Is Terha
Jo Nahin To Phir Baray Shoq Se
Sabhi Rabtay Sabhi Zabtay
Kabhi Dhoop Chaaon Mein Tor Do
Na Shikast-E-Dil Ka Sitam Kaho
Na Suno Kisi Ka Azab-E-Jaan
Na Kisi Se Dil Ki Galish Kaho
Yun Hi Khush Raho Yun Hi Khush Phiro
Na Ujer Sakein Na Sanwar Sakein
Kabhi Dil Dukhaao To Is Terha
Na Simat Sakein Na Bikher Sakein
Kabhi Bhool Jao To Is Terha
Kisi Tor Jaan Se Guzer Sakein
Kabhi Yaad Aao To Iss Terha !!!
No comments:
Post a Comment