Saturday, September 27, 2014

Mere Khudaya Mein Zindagi Kay



Mere Khudaya Mein Zindagi Kay
Aazaab Likhoon K Khawab Likhoon


Yeh Mera Chehra Yeh Meri Aankhain
Bujhay Huwe Charaagh Jaisay


Jo Phir Say Jalnay Kay Muntizar Hon
Woh Chand Chehra, Sitaara Aankhain


Woh Meharbaan Saaya-Daar Zulfain
Jinhon Nay Paemaan Kiye The Mujhsay



Rifaaqaton Kay Muhabbatoun Kay
Kaha Tha Mujhsay Keh Ae Mussafir Reh-E-Wafa Ke


Jahan Bhi Jaae Ga Ham Bhi Aain Gay Saath Teray
Banain Gay Raaton Mein Chandani Ham


Tou Din Mein Saae Bakhaer Dain Gay
Woh Chand Chehra, Sitaara Aankhain


Woh Meharbaan Saaya-Daar Zulfain
Wuh Apnay Paemaan Rifaaqton Kay Muhabbatoun Kay


Shikasst Kar Kay Ajaane Abb Kis Ki Reh-Guzar Ka
Minaar-E-Roshni Hue Hain


Magar Mussafir Ko Kya Khabar Hay
Woh Chand Chehra Tou Bujh Geyaa Hay


Sitaara Aankhain Tou So Gaii Hain
Woh Zulfain Be-Saaya Ho Gaii Hain


Woh Roshni Aur Woh Saae Meri Atta Thay
So Meri Raahon Mein Aaj Bhi Hain


Keh Mein Mussafir Reh-E-Wafa Ka
Woh Chand Chehra, Sitaara Aankhain


Wuh Meharbaan Saaya-Daar Zulfain
Hazaaron Chehron Hazaaron Aankhon


Hazaaron Zulfon Ka Aik Saelaab-E-Tund Lay Kar
Meray Taqub Mein Aa Rahay Hain


Har Aik Chehra Hay Chand Chehra
Hain Saari Aankhain Sitaara Aankhain


Tamaam Hain Sayya-Daar Zulfain
Mein Kis Ko Chahun Mein Kis Ko Daikhoon


Mein Kis Kay Saae Mein Baeth Jaoun
Bachoon Keh Toofaan Me Doob Jaoun


Keh Mera Chehra, Na Meri Aankhain
Mere Khudaya ! Mein Zindagi Kay


Aazaab Likhoon K Khawab Likhoon



No comments:

Post a Comment