Thursday, September 11, 2014

Ik na ik shamma andhere mein jalaye rakhiye – Tariq Badayuni



Ik na ik shamma andhere mein jalaye rakhiye
subah hone ko hai mahaul banaye rakhiye
jin ke hathon se hamen zakhm-e-nihan pahunche hain
wo bhi kahate hain ki zakhmon ko chupaye rakhiye
kon jane ki wo kis rah-guzar se guzri
har guzar-gah ko phoolon se sajaye rakhiye
daman-e-yar ke zinat na bane har aansu
apni palkon ke liye kuch to bachaye rakhiye



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Tariq Badayuni



No comments:

Post a Comment