Saturday, September 13, 2014

Kab wo sunata hai kahani meri – Mirza Ghalib



Kab wo sunata hai kahani meri
aur phir wo bhi zabani meri
khalish-e-gamza-e-khunrez na puch
dekh khunabafishani meri
kya bayan karake mera royege yar
magar aashufta-bayani meri
hun zikhud rafta-e-baida-e-khayal
bhool jana hai nishani meri
mutaqabil hai muqabil mera
ruk gaya dekh ravani meri
qadr-e-sang-e-sar-e-rah rakhta hun
sakht arzan hai girani meri
dahan us ka jo na malum hua
khul gai hechamandani meri
kar diya zof ne aajiz “ghalib”
nang-e-piri hai javani meri


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



No comments:

Post a Comment