Sunday, February 2, 2014

Tum nagma-e-mah ho anjum ho tum soz-e-tamanna kya jano – Behzad Lucknawi



Tum nagma-e-mah ho anjum ho tum soz-e-tamanna kya jano
tum dard-e-muhabbat kya samajho tum dil ka tadapana kya jano
sau bar agar tum ruth gaye hum tum ko mana hi lete the
ik bar agar hum ruth gaye tum hum ko manana kya jano
takhrib-e-muhabbat aasan hai tamir-e-muhabbat mushkil hai
tum aag lagana sikh gaye tum aag bujhana kya jano
tum dur khade dekha hi kiye aur dubne vala dub gaya
sahil ko tum manzil samajhe tum lazzat-e-dariya kya jano


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Behzad Lucknawi



No comments:

Post a Comment