Saturday, February 1, 2014

Jis tarah ke hain ye divaren ye dar jaisa bhi hai – Anwar Masood



jis tarah ke hain ye divaren ye dar jaisa bhi hai
sar chipane ko mayassar to hai ghar jaisa bhi hai
us ko mujh se mujh ko us se nisbaten hain beshumar
meri chahat ka hai mahavar ye nagar jaisa bhi hai
chal pada hun shauq-e-beparvah ko murshad man kar
rasta purpech hai ya purkhatar jaisa bhi hai
sab gavara hai thakan sari dukhan sari chubhan
ek khushbu ke liye hai ye safar jaisa bhi hai
wo to hai makhsus ik teri mohabbat ke liye
tera ‘anwar’ bahunar ya behunar jaisa bhi hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Anwar Masood



No comments:

Post a Comment