Saturday, February 1, 2014

Phul the badal bhi tha aur wo hasin surat bhi thi – Munir Niazi



Phul the badal bhi tha aur wo hasin surat bhi thi
dil mein lekin aur hi ek shaql ke hasrat bhi thi
jo hawa mein ghar banaye kash koi dekhata
dasht mein rehte the par tamir ke aadat bhi thi
kah gaya main samane us ke jo dil ka mudd’a
kuch to mausam bhi ajab tha kuch meri himmat bhi thi
ajanabi shaharon mein rehte umr sari kat gai
go zara se fasale par ghar ke har rahat bhi thi
kya qayamat hai “munir” ab yaad bhi aate nahi
wo purane aashna jin se hamen ulfat bhi thi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Munir Niazi



No comments:

Post a Comment